Like Us On Facebook

LightBlog

Breaking

Monday 30 January 2017

Whatsapp Pe New Account Kaise Banaaye | How To Create A New Account On Whatsapp ?

Whatsapp Pe New Account Kaise Banaaye

Posted By: 🕴Bharat Singh |🏷In:internet,make money online |⌚Last Update:4-12-2017





Whatspp ek instant text messaging application hai jo text message, voice calling, photo and video sharing jaise kai feature deta hai.

Hello dosto aaj ke post main aap sabhi ka fir se swagat hai aaj hum is post main sikhenge ki whatsapp account kaise banate hai dosto whatsapp duniya ka sabse popular social app hai.Whatsapp ke jariye aap apne contact me save numbers se online chat kar sakte hai jinhone whatsapp par id bana rakhi hai, aap apne dosto ke sath image, video, contact aur location share kar sakte hai.
Ye application itni popular isliye hai kyoki iska interface sabse badiya hai aapke koi bhi chiz send karte ho to wo turant aapke dost ko recieve ho jayegi, is app me kisi bhi tarah ke ad show ni hote jis se users ko koi pareshani ya dikkat nahi aati aur wo aasani se online chating ka laabh le sakta hai.

Whatsapp ko use karne ke liye 3g internet ki jarurat nahi padti ye kaam 2G internet me bhi acche tarike se kaam karta hai.
Ab me aapko batane ja raha hu ki whatsapp par kaise id banaye, waise to whatsapp par id banana bahut hi asaan or simple hai fir bhi bahut se log internet par search karte rehete hai ki whatasapp id kaise banaye isliye maine ye post likhi hai taki logo ko whatsapp id banane ke baare me jankaari mil sake.

Janiye Whatsapp Id Kaise Banaye :-

Whatsapp id mobile number se banti hai isliye aapko apna mobile number verify karwana padta hai,aap kisi bhi mobile number se whatsapp idbana sakte hai whatsapp id ke liye jaruri nahi hai ki aapka number us phone me ho jisme aap id banana chahte hai.

1. Sabse pahle Google Play Store par jakar whatsapp downlaod kare, wahapar search option aata hai jisme whatsapp type karke aap search kar sakte hai.

2. Whatsapp downlaod hone ke baad use open kare aur apna number enter box main daale.

3. Aapke mobile par ek verification code aayega, agar aapko number usi phone me hai to automatic verify ho jayega aur dusre phone me hai to message me jo code aaya hoga wo enter kare.

4. Agar kisi karan se aapke number par message nahi aa rha hai to aap call me button par click karke voice call ke jariye bhi verification code prapt kar sakte hai.

5. Mobile number verify hone ke baad aapko apna user name enter karna hoga aur apni profile pic set karni hogi.Agree And Continue button par click kare, aapka whatsapp account taiyaar hai ab aap apne dosto ke sath online chating ka maza le sakte hai jo pahle se whatsapp par mojud hai.Agar aapko whatsapp account banane me koi pareshani ya dikkat aati hai to niche comment ke jariye aap apni pareshaani bata sakte hai.

1 comment:

  1. maintaining a healthy weight can be tricky because it revolves around genetics and some other factors“ https://www.hackingadda.com

    ReplyDelete