Like Us On Facebook

LightBlog

Breaking

Saturday 1 September 2018

Apni Typing Speed Ko Increase Kare Kuch Helpful Tips Se ?

hello Dosto Aapka Is Article Mein Suyagat hai Jiska naam Hai Apni Typing Speed Ko Increase Kaise Kare ? Or Aap Aaj Is Article Mein Jaanenge Ki Kaise Aap Apni Typing speed Bada Sakte Ho. Kaise Aapko Sabhi Process Ko Karni hai. yahe Par Mein Aapko Kai Aesi Tips Bataayunga Jinhe follow Kar Aap Bhi Ek Typing Master Ban Sakte Ho. In Tips Ko Dhyaan Se Samajh Kar Follow Kariyega. Ek Ek Tips Behad Important hai.

Typing speed Kaise Badaaaye 6 Tips

Online Typing Ki Websites

5 Typing Software

In Sabhi Ke Baare Mein Aap Is Post Mein Jaanenge.

 Typing Speed Kaise Badaaye 6 Tips ?

  

Posted By: 🕴Bharat Singh |🏷In:internet,Social Media |⌚Last Update: 01-09-2018


Typing Speed Helpful Tips


hum kuch tips aapko bata rahe hai. jinhe follow karke aap bhi apni typing speed bada sakte ho. agar aap computer mein kaam karte hai. to aapko apni typing speed ko increase karna hoga. jise aap us kaam ko or jaldi kar sake. ab to aapko computer job ke liye bhi typing ki speed acchi hona behad jaruri hai. Isliye apni Typing speed ko increase kare. Wo kaise Kare. Sabhi Steps Niche Di huyi hai.

1 Apne Liye Ek Behetar Confirtable Keyboard Chune

apne liye ek aesa keyboard chune jismain aap apni haatho ki sabhi ungliyo ko set kar sako. keyboard ka size dekhe. keyboard ka size jitna bada hoga. aapki finger usmain acche se comfortable hogi.

2 Apni Ungliyo Ko Keyboard Par Sahi Se Setup Kare

aapni ungliyo ko setup karke hi aap typing kar sakte ho. bina ungliyo ko setup kiye bager aap typing karenge to aap apna time waste kar rahe hai. isliye apni haath ki sabhi ungliyo ko sahi tarike se setup kare. iska ek faayda ye hai ki. aap typing behad tezi se kar paayenge.

Niche Diye paragraph mein aap acche se samajh paayenge. ki kaise apni haato ki ungliyo ko setup karna hai. aayiye jaante hai.

Left hand ko Setup Karo

apne left hand ki anghute ke baad waali ungli ko F key par set kare. or baaki ki saari ungliyo ko ( D, S, A ) key par set kare.

Right Hand Ko Setup Karo

apne right hand ke anghute ke baad waali ungli ko J Key par set kare. or baaki ki saari ungliyo ko ( K, L, : ) key par set kare.

fir bhi koi confusion ho to aap is image ko dekh sakte ho.


Typing Speed Increase Helpful Tips


3 Rojaana 1 ghanta ya 30 minute Practice kare.

rojana practice karne se aapki typing speed or behtar hogi. isliye aap 1 ya adha ghanta rojaana apni typing practice mein lagaaye. kyuki bina practice ke aap apni typing speed ko nahi bada sakte. isliye rojaan practice karte rahiye. rojaana practice se aap apni typing speed mein badlaav dekhenge. or aapko or bhi jyada typing karne ka man karega.

4 Pryaas karte Waqt Break Lena hai.

aesa nahi hai ki aap pura din apni practice mein hi laga de. aesa karoge to aapki health par kaafi bura prabhaav padega. isliye mein suggest karunga. ki aap bich-bich mein break le. or apni ungliyo ko araam de. isse aapka mind fresh ho jaayega. jisse aapko baad mein typing karne mein kaafi asaani hogi.

 5 Keyboard Ko bina Dekhe Typing Kare.

jab bhi aap typing karte hai. to har baar typing karte samay keyboard ko na dekhe. agar aap aesa karte hai. to aap ek behetar typing master nahi ban paayoge. isliye aapko moniter ki taraf dekh kar typing karna chahiye. isse aap bina dekhe typing kar paayenge.

6 Aap Apna Online Typing Test Lijiye.

online test lene se aap apni typing speed ko or bhi jyada increase kar sakte ho. tatha test khatam karne ke baad aap uska result paa sakte ho. or aap chaho to apne result ko social medai par share bhi kar sakte ho. aapne dosto ko apni speed ke baare mein bata sakte ho. meine kuch website ke naam diye hai. jinse aap apni typing speed ko increase kar sakte ho. aapko jo bhadiya lage, us site se typing test le sakte ho.

Online Typing Karne ke Liye In Website Ka Istemaal kare


yaha meine kuch sites di hai jinpar visit kar aap apni typing ki online practice kar sakte ho. ye sabhi ki sabhi sites free hai. or inke liye koi paisa nahi liya jata. in sites mein aapko games ki suvidha bhi di huyi hai. jinmain aap games khel kar apni typing speed increase kar sakte ho. (check this)

10 faster finger

is  website se aap apni typing skill maap sakte ho. apni typing speed mein sudhaar kar sakto ho. or to or apne result ki tulna apne dosto ke saath kar sakte ho.

Typing Test

typing test.com aapko muft online typing test. or exciting games or typing keyboard lesson pradaan karta hai. abhi jaaiye or ispar apni muft typing test liziye

Speed Typing Online

is website ka naam Speed Typing online hai. ismain aap apni typing gati ko dekh sakte hai. tatha muft online typing test le sakte ho. or to or ismain aapko bahut saare text options, or adhik lambi typing legnth suvidhaaye milegi.

Live Chat Inc

ye bhi ek online website hai. jismain aaap jitna adhik typing score karte hai. utna hi adhik aapka wpm hoga. ek or baat is typing website mein games available nahi hai. aap bus typing test lekar hi apni typing speed increase kar sakte ho.
dosto meine niche kuch typing software ke baare bataaya hai jinse aap ghar bethe typing sikh sakte ho. or apni typing speed ko increase kar ek typing master ban sakte ho

5 Typing Software Jo Aapki Speed Bada Denge 

yaha par hum kuch typing software ke baare mein jaanenge jinse aap apni typing speed increase kar sakte ho. itna hi nahi aap in typing software se ghar bethe typing ka course kar sakte ho. Ye Software Aapko Step by Step Guide Karenge. Isliye Inke Baare Mein Thoda Vistaar Se jaaniye fir jonsa Software Aapko Best Lage Uska Istemaal Kiziye.

Typing Master Pro

ye ek bahut hi badiya use-friendly software application hai. jismain ye users ko typing ke alag-2 tarika sikhaata hai. ismain aap apne sahi haat ki sthiti. or kai anya typing tricks ke baare mein jaangenge. ye aapko typing ke jaanne ke baare mein kai alag-alag tarike pradaan karta hai. or ismain ye pathykram or diffrent tutroial ka ek jatil package pradaan karta hai. ismain tin alag alag prakar ke course hai. jo ise apne users ko pradan karta hai. jismain Eligible Key, General Punctution Marks, speed buil up or number ke liye lesson samil hai. ye software ek mahaan teacher ke rup mein karye karta hai. ismain ye games jesi suvidha bhi pradan karta hai. jisse upyogkarta ismain manorajan ke saath typing skill improve kar sake. ye sab kuch bahut accha typing tutorial hai. ise aap bohot pasand karenge.

Mavin Beacon Platinum 25th anniversary

is typing software application ka upyog karke avasak typing skill ko badaaya jaa sakta hai. or efficiency ko bhi badaaya jaa sakta hai. or ismain 430 se adhik lession hai. jimain practice or kai alag tarah ke test samil hai. ismain typing test ko pura karne ke baad aapke paas detailed or satik progress report ho sakte hai. mavin beacon aapko english, franch or spanish mein type karne deta hai. or ismain arcade styles majedar games bhi milte hai. jo surely aapki typing skill ko badaayenge. ise aap bohot jyada pasand karenge.

Keyblaze

Klavaro Touch Typing tutor

Typing Trainer

to dosto is tarah se aap apni typing speed ko increase kar sakte ho. aaj ke liye bus itna hi. aapne iss article mein aapne jana ki kaise aap apni typing speed ko increase kar sakte ho, online typing ki website, 5 Software Jinse aap apni Typing Speed Increase Kar Sakte ho. fir bhi agar hamaare article mein koi kami hai. ya fir aapko koi problem aa rahi hai. to aap hame comment duyara bata sakte hai.

agar ye article aapko pasand aya ho to ise social media mein share kare. or iss article ke baare mein apne dosto ko bhi bataaye.

Thanks For Reading My Article

No comments:

Post a Comment